Cartoon Sound Effects Aur Background Music free Me Download Kaise Kare?



Dosto koi bhi video me sound effects aur background music sabse mahtpurn hissa hota hai. jisse hamari video ko aur bhi jyada realistic bana deta hai.

Lekin dosto aapko baiscali pata hoga ki jab hum in music ya sound effect ko iske website se download karne jate hai. to sabse pahle hame iska subscription ya royalty phis dena hota hai. matlab hame bahut bada amount de kar inke music kharidna hota hai. tab hum iske music ya sound effect download kar sakte hai.


Lekin hum to thahre chhote youtuber bhala itne paise kaha se pay kar sakte hai. to hum kya kya karte hai. ki jo royalty free music hote hai, hum usko copyright free samajh ke download kar lete hai. aur us music ko hum apne video me use kar lete hai.

Lekin jab hum apni us video ko youtube par upload karte hai to yaha par hame yek bahut bada jhatka lagta hai. ki jo abi hamne music ko free samajh kar use kiya tha, to uspar yek copyright claim aa gya hai.



To us message ko padh kar ham bahut hi dukhi ho jate hai ki yek chote se music ke vajah se hamari sari mehnat pani me chali gyi.

Matlab kya hi batau mai khud is problom ko kai bar face kar chuka hu. agar aap bhi copyright claim ke chakkar me phaste aa rahe hai to niche comment kar ke jarur batana.



So dosto aaj ki is Post me four aise site aur kuchh tarike batane vala hu. Jaha se aap apne Video ke aavashyakta anusaar har tarah ke sound effects aur background music bilkul free me download kar sakte hai. Aur apne Video me bina copyright ke use kar sakte Hai.

So dosto aaiye vo kon se free site aur kya tarike hai chaliye hum jante hai.

1. google Drive

2. Youtube Library

3. Youtube

4. Zapsplat

1. Google Drive 

So Dosto sabse pahle mere pas jitne bhi sound effects ke stock hai. Jise mai khud apni Video banane Me istemal karta hu. To unsabhi sounds effect ko maine google drive me upload kar diya hai. Jiska link Post me mil jayega vaha se aap sabhi sound effects download kar le.

Google Drive
Google Drive


Cartoon Sound Effects And Background Music Google Drive Download

https://drive.google.com/folderview?id=1Cv6m3DhaJAgdEEsTJP2hFqjOLl17Napb


2. Youtube Library

YouTube Library


Bahut se logo ko malum nahi hai ki. Ham jis youtube platform par kam karte hai. usi youtube ne khas karke apne creator ke liye bahut se background music aur sound effects banaya hua hai. taki hamare creator ko music kharidna na pade aur bina paise kharch kare youtube video bana sake.

Lekin aap soch rahe honge ki mai bahut dino se youtube chala raha hu. lekin aajtak youtube library ka (Option) nahi dekha.

To dosto chaliye mai youtube library ka (Option) dikhata hu.

Sabse pahle google ko khole. aur uske search bar me (Youtube Librarry) type kare.

Aur phir sabse niche dekhenge to youtube librarry ka option dikh jayega. jis par click kare ke iske sare music aur sound effects download kare sakte hai.

3. YOUTUBE

Dosto agar aapko youtube librarry me apne project ke anushar background music aur sound effect nahi mil rahe hai. to aap youtube ke madad se apne man mutabik sabhi music aur sound effect download kar sakte hai.

Sabse pahle apne youtube ko open kare. aur phir uske search bar me aapko jo music ya sound effect chahiye usko search kare. aur phir us name ke piche no copyright likhe aur search kar de.


YouTube search Example


Iske turant bad dekhenge to aapne jo material search kiya? to vo aapke samne aa jayega. to aapko use snaptube me share kar ke download kar lena hai. Aur phir aap apne video me use kar sakte hai. koi bhi copyright claim nahi aayegi.


4. ZAPSPLAT

 

Ag

Zapsplat website
Agar aapko abhi bhi apne project ke hisab se background music aur sound effect nahi mil rahe to. ghabrane ki koi bat nahi hai?

aap turant apne google me search kare (Zapsplat) aur phir iske website ko open kare.To zaplpat me dekhenge ki isme duniya ke har tarah ke sound effects available hai. jaise- cartoon, animal, human, emergency, traveler Aur Furniture Etc.


To yaha par yek bat ko dhyan rakhna hai ki jab bhi aap (zapsplat) se sound effects download kar ke apne video me use karenge to zapsplat site ko apne video ke description box me creadit dena hoga. tab jakar aapki video save rahegi.

Zapsplat Credits Example
Zapsplat Credit example



To dosto is tarah se in Four site aur is tarike se copyright free sound effects aur background music download kar sakte hai.

i hope ye Post aapko jarur helpful hui hogi. agar aapko ye Post achi lagi to hamare site ko Follow kare Aur share kar de.


Post a Comment

0 Comments