Cartoon Script Kaise Likhe



Dosto jab koi kahani film ya cartoon video ke liye likhi jati hai, to use yek format me likhna hota hai. Jise ham script, patkatha aur screenplay bolte hai.


Lekin bahut se aise naye Creater hai, khas kar ke youtube Creater. jinko script ke bare me kuch bhi malum nahi hota hai. Vo kya karte hai ki dimag me koi bhi kahani aayi aur uski script jaise man vaise likh dalte hai. Aur uspar video bana kar youtube par dal dete hai. Aur views nahi aata hai to bolte hai ki mera video viral hi nahi ho raha?

Example me mai aapse hi yek saval puchhta hu aapko bina namak, bina mashale, bina tel, bina fry kiya hua sabji khane ke liye bolta hu to kya aap usko kha payenge? Nahi na. Vaise hi sochiye aap bina script ka structure aur writing formate jane aap script likenge to bhala kon aapki video dekhna pasand karenga.


Yaha par mai yek aur example deta hu. 

Jaise Aapke samane yek sada hua aam rakha hai, aur yek acha, rashdar, mitha paka hua aam rakha hai. Aapko dono me se koi yek ko uthana hai. To aap dono me se kon uthaoge. 

 Beshak koi bhi acha paka hua aam hi uthayega. Kyuki koi sada hua aam lekar kya karega.

Isiliye aap ache, rashdar aur mithe pake hue aam ki tarah apni script likhe.

Agar aap sade hue aam ki tarah script likhte hai, to us sade hue aam ki hi tarah aapki. Video ko kude dan me phek diya jayega.

Isiliye aap koi bhi kahani likhane se pahle script writing ke prakriya aur uske structure ke bare me jan le.

Jaise:- 

1. Script idea kaise generate kare

  • 2. Craft a logline Kaise likhe
  • 3. Kahani ki treatment Kaise likhe
  • 4. Apne character ko develop Kaise Kare
  • 5. Plot structure Kaise likhe
  • 6. Script writing karne ke liye kon app use kare
  • 7. Puri kahani ki script formate me kaise likhe
Matlab mobile phone se yek professional script likhne ki sari prakriya aasan bhasa me aur details me batane vala hu.

So is tarah ki Post aapko kahi par bhi nahi milegi, to agar aapko is post se thodi si bhi help milegi to hamare page ko follow karen.


To dosto sabse pahle yek Profesional Film ya cartoon story ki script likhne ke liye aapko ye six Element ko follow karna hota hai.

 

1. Script idea kaise generate kare

2. Craft a logline Kaise likhe

3. Kahani ki treatment Kaise likhe

4. Apne character ko develop Kaise Kare

5. Plot structure Kaise likhe

6. Script writing karne ke liye kon app use kare

7. Puri kahani ko formate me kaise likhe



  • 1. Script idea kaise generate kare



Dosto script writing ki shuruaat idea se hota hai. Ki ham kis tarah ki film ya cartoon video banani hai. Aur uska kahani kis chijh se judi hai.

Udaharan ke liye-

Agar hame biopic film banani hai to sabse pahle us tarah ke personality ko dhundhna hoga. Jiski kahani logo ko aakarshit karti hai aur logo ke liye preranadayak bhi ho.

Biopic film


Agar kisi sports personal ke upar film banani hai, to sports me se kisi mahan personality ko dhundhna hoga.



Aur yadi hame sena se jude kisi veer shahid ke upar video ya cartoon banani hai

To unmen se behtarin logo ko chunana hoga.

Matlab script likhne ke liye us Character ka personal jankari jutana aur usko sanchhep me likhna idea kahlata hai.


SCRIPT IDEA KAISE GENERATE KARE

Script idea kahi se bhi aa sakta hai. News stories, public domain stories, apne jivan ke anubhav se ya kisi vyakti ke jeevan ke kahani se matlab kahi se bhi film ke kahani ka idea aa sakta hai.

SCRIPT IDEA


Jab yek bar idea aa gaya tab kahani ka logline likha jata hai.


2. Logline Kaise likhe


Log line youtube ke thumbnail ki tarah thoda milti julti hai . Jaise maine is post ke upar thumbnail me likha hai (sikh lo mobile se cartoon script likhna) title yahi n thi. 

Ab  aapne jaise hi is post ke thumbnail ko padha hoga. To turant aap sochte honge ki (are mobile se cartoon script bhi likha jata hai, chalo thoda dekhte hai) matlab apko ye chhoti si word aapko post dekhne ke liye hook karti hai, majboor karti hai. to aap post dekhne ke liye turant thumbnail par click kar dete hai.

To ab yaha par aap sochiye maine sirf, yek ya do word me apni thumbnail me shirshak likha tha. Maine thumbnail me puri video ki kahani, jankari nahi likhi, agar mai thumbanil par puri details likh dalta, to agar aapke samane meri thumbnail dikhti to, kya aaap meri post ko dekhte? Nahi na. Aap us vakt meri thumbnail dekh kar slide kar dete. Aur sochte ki. ye kya hai, pure thumbnail ka satyanash karke rakha hai, to is post me to pura hagg diya hoga. 


Yaha par yek baat hamesha yad rakhe Hamara post ya video lakh guna acha ho, agar hamara thumbnail, logline acha n ho to post ya video acha hokar bhi bekar kahlayega. 

Isi tarah same hal, script ka bhi hota hai, lekin thumbnail se thoda alag hota hai.

Logline kahani ka yek sankchhipt Saransh (summary) hota hai, jo yek ya do vakya ka hota hai. 

Ashan bhasa me kahu to log line ke madhyam se hero aur villain ka jo lakshya hota hai, unka jo goal hota hai aur unke sangharsh matlab struggle ka varnan karta hai.

Log line se hi aapki script ki pahchan hoti hai. Jaise aapne koi bhi kahani ki script likha hai jaise man lijiye motu patalu cartoon ka script likha hai. to yadi aapse koi puchhta ki aapki script kya hai, to yaha par aap kya jabab denge. Yaha par Aap puri kahani to nahi sunayenge, kyuki agar puri kahani sunane lag jaoge to kaiak ghante lag jayenge.

To agar aap se koi aapke script ke bare me puche to aapko log line me jabab dena hai.

Jaise- Motu patalu ka script hai to iska log line hoga.



-motu aur patalu sabse achhe dost hai, jab unke gav par musibat gher leti hai, to ve gav ko bachane ke liye, team bana lete hai.

Dekha aapne sirf do ya teen vakya me puri kahani ke andar kya hone vala hai, sab bata diya.

Ise aur bhi bistar se samjhne ke liye iske do formule par najar dalte hai.



Log line kyu likhe, Iska kya kam hai?

Dekhiye jab aap apni script ko kisi film nirmata ko bechane jayenge to, film nirmata sabse pahle aapki script ka logline puchenge. Kyuki duniya me bahut sare writer hai, agar sab writer ka script sunne lage to, acha aur bura script ko pahchanane me bahut samay lag jayega. Isiliye script ka logline puchhte hai. Kyuki logline me yek ya do vakya me puri script ki varn kiya hota hai.

Agar Aapka logline film nirmata ko hooks karta hai, to tab films nirmata aapki puri script padhega aur script achi lagi to usper film banayega.


  • 3. Kahani ki Treatment Kaise likhe

Treatment kahani ka saransh hota jo 2-5 page ka hota hai. Jisme screen play ka shirshak (title), logline, Mukhya Character ki yek suchi (list) aur yek sankchhipt saransh shamil hota hai.

Jab bhi script writer dwara kisi films nirmata ke pas film ke script ko bheja jata hai, to puri script ke jagah sirf treatment bheja jata hai. Taki film nirmata ko yek anuman aa jaye ki script ki quality, paisa aur samay invest karne layak hai ki nahi.

Puri film ka nichod treatment ke andar likha jata hai, taki jo bhi ise padhe to is kahani ke pravah ko samajh sake aur uske Character ke sangharsh aur uska lakshya ko jaan sake


4. Script writing karne ke liye kon app use kare

Agar aap mobile se script likhna chahte hai to aap in aap ka istemal kar sakte hai.


1. Auctor: story and Character generator app

2. Celtf app

3. Dubscript app

Inme se auctor app script likhane ke liye best hai. Mai khud script likhne ke liye auctor app ka istemal karta hu. To Mai recommended karunga ki aap isi app ka istemal kare.


 4. Apne character ko develop Kaise Kare?

फिल्म के कहानी में जो कैरेक्टर होता है उसका नेचर क्या है, उसका रवैया कैसा है ये सब चीजें

कैरेक्टर डेवलपमेंट प्रक्रिया के अंदर डेवलप किया जाता है |

काहनी के जो मुख्य किरदार है उसका लक्ष्य क्या है और उस लक्ष्य के प्राप्ति में जो भी बाधाएं मिलती है उसका किस तरह से सामना करता है | 

Ye sab Character develop me likha jata hai.


5. Plot and outline structure Kaise likhe 

Plot घटनाओं का एक क्रम होता है और ये घटनाएं आपस में एक दूसरे से जुडी होती हैं | प्रत्येक

घटना अगले घटना को प्रभावित करती है |


Three act structure kya hai, ise hame kyu likhna chahiye?

THREE ACT STRUCTURE


Dekhiye dosto jab ham apni Sochi hui kahani ko likhna suru karte hai. To ham thoda confused ho jate hai. Ki kahani ko kaise suru kiya jay, shuruat me ham kya likhe., Kahani ke bich me kya likhe, aur sabse kathin chijh Hoti hai ki ham apni kahani Ka ant kaise kare. Ki darshak kahani ko dekhne ke bad tariph Karne par majbur ho Jaye.

Matlab ham apni kahani ko manage Nahi Kar pate hai.

To dosto isi solutions Ka hal (three act structure Karta hai)

Jaise ki name se hi pata chalta hai ki ye three structure hai:-


Act1- setup

Act2- (confrontation) Takrav

Act3- Resolution (sankalp)


Ab aap soch rahe honge ki ye three act structure kaise kam karta hai.

To dosto isee batane ke liye ham iske graph par najar dalte hai?



Aapne Bombay to Goa movie Dekha hoga.

Ye movie Jaise hi start Hoti hai, to sabse pahle hame kahani Ka introduction karaya jata hai. Ki ye phalna aadmi hai, yah ye kam Karte hai, aur inlogo Ka ye maksad hai.

Matlab film ke shuruat me unki kahani aur character Ka introduction karaya jata hai. Aur phir bad me in logo Ka kya lakshay hai ye sab dikhaya jata hai. 


Aur phir movie ke bich me yek aisi ghatna ghatti hai, jise Puri movie Ka rukh hi change ho jata hai. Hame dikhaya jata hai ki, yek budha jo unhi ke Sath saphar karta tha. Vo kahi par khajana chhupa Kar rakha hua hai. Aur  Dekhiye yaha par hame Kitna bada raj pata chalta hai. Aur dhire dhire film ke bich me sabhi Raz (suspens) khol Diye jate hai.

Ye sunkar saphi character us khajane ko khojne Bombay jate hai.

Ab dhire dhire movie ant ke taraf badhti hai.

Ab yaha par babut mashakt Karne ke bad. Aakhir khajana mil jata hai.


To dosto Dekha Aapne ki is movie ki kahani ko tin bhago me batta Gaya hai.

To ye kahani three structure par hi Likha Gaya hai.


Puri kahani ki script formate me kaise likhe


 

Dosto aise to bad bade writer apni kahani ka Script laptop ya computer se likhte hai. Lekin aaj mai aapko apne  android phone se hi yek professional story ka script likhna sikhaunga?

So dosto kya hota hai ki hamari sochi hui kahani me, alag alag tarah ke scene, action, Character aur Dialogue hote hai, to ham jab apni kahani ka script likhna shuru karte hai to ham thoda confuse ho jate hai. Scene Kaise likhe, Action Kaise likhe Dialogue Kaise likhe. Matlab hame script likhne me preshani hoti hai. 

To isliiye Kisi bhi story ki script likhane ke liye. Ye sat Element banaye gaye hai. Jinke madad se aasani se yek professional script likha jata hai.


1 Story Introduction

2 Scene Heading (दृश्य शीर्षक)

3 Action (कार्य)

4 Character name

5 Parenthetical

6 Dialogue

7 Transition


Story Introduction

Dosto sabse pahle hame apne kahani ka parichay likhna hota.

Jaisa ki aapne bahut se cartoon video me dekhe honge, ki jab unki video start hoti hai. To sabse pahle apne kahani ka introduction dete hai- 

Ki yek gav me chudail raha karti thi. Chudail aurat ki bhesh badalkar logo ko kha jati thi.

Ya yek gav me ramu name ka ladka rahata tha. Ramu din bhar apni kheto me kam karta tha.

Matlab is tarah se video ke shuruaati me apni kahani ka Introduction dete hai.

To aap thik usi prakar sabse pahle apni kahani ka Introduction likhe.

Our phir bad me Scene heading likhna hai.


Scene heading

Scene heading me me kahani ke location ke bare me likha jata hai.

Jaisa ki agar Aapka scene indoor ka hai. Matlab scene andar ka hai. to aapko Int likhna hai Int ka full form  interior hota hai. Interior matlab andar hota hai.

Aur agar Aapka scene outdoor ka hai. Bahar ka hai.To Ext likhna hai. EXT ka full form hota hai exterior matlab bahar.

Aur iske bad apka jo scene hai uska location kaha ki hai. Ghar ki hai, jungle ki hai, airport ki hai 

Matlab dusre number par aapke scene ka location likhna hota hai.

Our appka scene day ka hai ya night ki hai ya evening ki hai. Yaha par aapko din likhna hota hai

Our ab iske baad apne scene ka action likhna hota hai. Ki aapke scene ke andar kya kya ho raha hai. Action ke andar scene ke activitie aur Character ke Action ko details me likhna hota hai. Taki jab aap iska animation karenge to scene ke paristhiti ke bare me pata chal sake aur usi ke hisab se ham animation kar sakenge.

Phir iske bad Parenthetical likhna hota hai.


Parenthetical

Matlab Parenthetical paragraph me Character ka emotions, EXPRESSION likhna hai.


CHARACTER NAME

Ab agale paragraph me  Character ka name likhna hota hai.


DIALOGUE

Aur aapke kahani me jo bhi Character kuch bol raha hai. Usko Dialogue vale paragraph me likha jata hai. Dialogue ko hamesha Character vale paragraph ke thik niche likha jata hai.


TRANSITION

Ab last paragraph me Transition ka istemal hota hai. 

Jaise ki yek scene samapt hone ke bad jab dusra scene shuru hota hai to uske bich me Transition ka istemal hota hai.


To is tarah  yek professional script likhi jati hai. 

Halanki yek professional script likhane ka maine tarika yahi hai.

Lekin agar aap yek youtube Creater hai, our aap short animation, short video banate hai.  to aapko script likhane me itna jyada mehnat nahi karni hai. 


Aap sirf do topic se apna script likhe

Pahle aap apne story ka outline likhe. Outline bahut hi important hota 

Our phir aap outline ko dhyan me rakh kar yek achi story ka script format me likhe.

Our uspar video bana kar youtube par dale, tab dekhna agar apki video ki tariph n hui to kahna. 



Aur ha aap koi bhi field me safalta pana chahate ho to, kabhi bhi short cut mat apna. hard work karo, Khoob mehnat karo. 

Tab jakar tumhe safalta hasil hogi. To is bat ko hamesha yad rakhna

So chalta hu. Agar hamari batai hui information achha laga ho to. yek pyara sa comment kare aur website par naye hai to follow kare aur aapke man abhi bhi koi confusion ho to niche hame comment kar ke Jarur bataye, hame aapki comment ka intezar hai. 

So abhi ke lie bye bye milte hai agale post me 

Dhanyavad..


Post a Comment

1 Comments

  1. Bahut hi shandaar information...good keep it up...thank you

    ReplyDelete